Vrindavan Ekadashi Live Update 2026: परिक्रमा मार्ग में भारी जनसैलाब, पुलिस रूट डायवर्जन और दंडौती परिक्रमा का सच

 Vrindavan Ekadashi Live Update 2026 parikrama marg me bhari bheed police route diversion aur dandoti parikrama ka live drishya


Jay Shree Radhe, 

Sabhi Braj Bhakton Ko! 🙏

Vrindavan se main aapka bhai Atul Brajwasi live hoon. Aaj Wednesday, 27 May 2026 ka ekdum garam aur live update lekar hazir hoon.

आज Vrindavan Ekadashi 2026 पर परिक्रमा मार्ग में काफी भीड़ देखने को मिल रही है। अगर आप आज वृंदावन आने वाले हैं तो यह live update आपके लिए जरूरी है।

Bhaiyo, agar aap is samay Vrindavan aane ka plan bana rahe hain ya parikrama dene ki soch rahe hain, toh pehle yahan ka live haal jaan lijiye, nahi toh raste mein hi phase reh jaoge! Vrindavan mein kal se hi vikat aur bhayanak bheed chal rahi hai. Kaaran yeh hai ki kal bhi kuch logon ne Ekadashi manai thi aur aaj bhi Ekadashi ka maha-snan aur parikrama chal rahi hai. Upar se pavitra Jyeshtha Adhik Maas (Purushottam Maas) ka mahina hai, toh bheed ka aalam yeh hai ki pair rakhne ki bhi jagah nahi hai!

🚨 1. Police Ka Bada Alert Aur Route Diversion (Shortcuts Band!)

Bhaiyo, agar aap apni gaadi ya vahan lekar Vrindavan ke andar ghusne ki soch rahe hain, toh ye bhool bilkul mat karna! Poore parikrama marg aur mukhya raston par har thodi-thodi door par bhari police force khadi hai.

  • Live Alert: Police sabhi gadiyon aur vahanon ko bahar hi rok rahi hai. Koi bhi rickshaw ya gadi andar nahi jaane di ja rahi. Agar aap sochre hain ki kisi chor-rasta ya shortcut se nikal jayenge, toh rasta ekdum band hai. Police kisi ko bhi shortcut se nahi jaane de rahi hai, isliye paidal chalkar hi darshan aur parikrama ka plan banayein.

2. Parikrama Marg Mein Yogi Sarkar Ka Achha Kaam

Is bhishan bheed aur 43°C ki dhoop ke beech, is baar prashasan ne parikrama marg mein ek bohot hi tareef laayak kaam kiya hai. Poore parikrama marg mein side se baalu (naram ret) daal di gayi hai.

Yeh baalu isliye daali gayi hai taaki jo bhakt nange pair chal rahe hain, aur sabse zaroori—jo Dandoti Parikrama (लेट-लेटकर परिक्रमा) de rahe hain, unke sharir aur pairon ko dhoop aur kankad se kasht na ho. Is samay parikrama marg mein hazaron log dandoti parikrama laga rahe hain. Shastron mein likha hai ki Ekadashi aur Adhik Maas mein jo ek dandoti parikrama bhi poori kar leta hai, uske janam-janamantar ke saare paap nasta ho jaate hain.

💪 3. Brajwasiyon Ki Shakti Aur Dandoti Parikrama

Mene parikrama marg mein hamesha ek cheez dekhi hai—jo baahar se aane wale bhakt hain, unhe dandoti parikrama lagane mein bohot dikkat aur bhari pareshani hoti hai (kyunki unka abhyas nahi hota). Lekin sabse zyada dandoti parikrama hamare sthaniye Brajwasi log hi lagate hain! Aisa kyun hai? Kyunki hamare Brajwasiyo ke andar dandoti lagane ki shakti apne aap aa jati hai. Unka janm Kanha ki is pavitra dharti par hua hai, toh Thakur Ji piche se unhe har kaam ko karne ki divya shakti automatic de dete hain. Aur haan, yeh baat main aise hi hawa mein nahi keh raha hoon, mai khud ek Brajwasi hoon, isliye aapko apna ek sacha kissa sunata hoon jo maine aaj tak kisi ko nahi bataya!

Vrindavan dandoti parikrama 2026 ekadashi parikrama marg me bhakton ki dandoti parikrama aur Radha naam ka anubhav

🤫 4. Mere Jeevan Ka Wo Chamatkar: Jab Radha Naam Ne Pairon Ka Dard Mitaya (Mera Anubhav)

Baat tab ki hai jab main bachpan mein shayad 7 ya 8 saal ka raha hoonga. Mere mummy-papa parikrama lagane ja rahe the (sada chalne wali, dandoti nahi). Maine bhi parikrama lagane ki zidd pakad li!

Toh mere mummy-papa ne muje samjhate hue kaha tha—"Tu bohot choto hai, tote abhi parkamma na lagegi!" Lekin main toh ziddi tha, main nahi mana. Josh-josh mein main unke sath parikrama dene chala gaya. Shuruat ke 1-2 kilometer toh josh rha, par dheere-dheere mera saara josh thanda pad gaya. Abhi aadhi parikrama bhi nahi hui thi ki mere pairon mein itna bhayanak dard shuru ho gaya ki meri halat kharab hone lagi. Main rone jaisa ho gaya aur mann mein than liya ki ab zindagi mein kabhi zidd nahi karunga.

Tab mere mummy-papa ne mera hath pakda aur kaha "Beta, bhagwan ka naam le, Radha Rani ka naam le, sab apne aap ho jayega." Maine unki baat maankar mann hi mann sacha vishwas rakhkar Radha Naam japna shuru kiya. Bhaiyo, uske baad jo hua, use soch kar aaj bhi mere roongte khade ho jaate hain! Main khud nahi samajh paya ki mere pairon ka woh bhayanak dard dheere-dheere kahan gayab ho gaya! Mujhe ekdum theek lagne laga, main naam leta gaya, jhumta gaya aur parikrama kab khatam ho gayi, mujhe pata hi nahi chala!

🎯 Jeevan Mein Upyog Karne Laayak Ramban Seekh

Bhaiyo, agar aapke jeevan mein bhi koi kaam na ban raha ho, ya parikrama lagane mein koi pareshani aa rahi ho, toh is mere niji anubhav ko apne jeevan mein aazma kar dekhna.

Main yeh daava toh nahi karunga ki bhagwan ka naam lete hi aapke saare dukh usi second mein khatam ho jayenge. Lekin itna zaroor keh sakta hoon—agar aapne is pavitra nagri par vishwas rakha, dhairya (sabar) rakha aur Radha Rani ka naam pakad kar rakha... toh phir duniya ka koi mai ka laal bhi keh de na ki aapki zindagi aisi hi dukh mein jiyegi, toh woh jhooth sabit hoga! Woh banda khud apni do aankhon se aapke dukhon ko dheere dheere khatam hote hue dekhega! Bas vishwas mat khona.

"Main is pavitra Braj bhoomi par janma hoon, aur ek Brajwasi hone ke naate main aapko poore vishwas aur imandari se keh raha hoon ki is kahani ka ek-ek shabd 100% sacha hai. Yeh is dharti ka asli anubhav hai."

Aap sabhi aaj ke is pavitra Ekadashi aur Adhik Maas ke mauke par Vrindavan aayein, parikrama lagayein aur is maha-punya ke bhaagi banein!

📌 Vrindavan Yatra Ke Kuch Aur Zaroori Live Updates (Inhe Bhi Padhein):

Vrindavan Ekadashi Parikrama: Frequently Asked Questions (FAQs)

Q1. Vrindavan mein Ekadashi ke din gaadi lekar ja sakte hain? 

Ans: Nahi bhai! Ekadashi par bhari bheed ki wajah se police sabhi mukhya raston aur shortcuts par barricading kar deti hai. Gaadiyan bahar hi rok di jaati hain, isliye aapko paidal ya local e-rickshaw ka hi sahara lena padega.

Q2. Vrindavan Parikrama Marg kitne kilometer ka hai? 

Ans: Vrindavan ki mukhya parikrama lagbhag 10 se 12 kilometer lambi hai. Paidal ise poora karne mein aamtaur par 2 se 3 ghante ka samay lagta hai.

Q3. Dandoti Parikrama kya hoti hai aur iska kya mahatva hai? 

Ans: Dandoti parikrama ka matlab hai zameen par let-letkar (dandavat pranam karte hue) aage badhna. Shastron ke anusar, Adhik Maas aur Ekadashi ke pavitra din par dandoti parikrama karne se janam-janam ke paap kat jaate hain aur akhand punya milta hai.

Q4. Jyeshtha Adhik Maas 2026 kab se kab tak hai? 

Ans: Is saal pavitra Jyeshtha Adhik Maas (Purushottam Maas) 17 May 2026 se shuru hua hai aur 15 June 2026 tak chalega. Is poore mahine Vrindavan mein bhakton ka mela umda rehta hai.

Comment mein batayein: Kya aapne kabhi parikrama mein Radha Naam ka aisa chamatkar mehsus kiya hai? Comment mein likhein—Radhe Radhe! 🌸✨

Radhe Radhe 🙏 (Mero Pyaro Vrindavan)

— Atul Vrindavan (Brajwasi)


टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट