Premanand Maharaj Ji Health Update May 2026: Bimari Aur Maun Vrat Ka Sach
![]() |
| Vrindavan se Premanand Ji Maharaj ki tabiyat aur maun dharan ko lekar aaj ki poori sahi jankari. |
Premanand Ji Maharaj Health Update 25 May 2026 – Vrindavan se aaj ki poori sachchai
Premanand Ji Maharaj Health Update 25 May 2026: पिछले कुछ दिनों से सोशल मीडिया और WhatsApp पर यह खबर तेजी से फैल रही है कि वृंदावन के पूज्य श्री प्रेमानंद जी महाराज की तबीयत खराब है। अगर आप सही और ताजा जानकारी जानना चाहते हैं, तो यहां वृंदावन से पूरी अपडेट पढ़िए।
Radhe Radhe,
Sabhi Braj Bhakton Ko! 🙏
Vrindavan se main aapka bhai Atul Brajwasi live hoon. Aaj Monday, 25 May 2026 ka live update lekar hazir hoon. Jaisa ki aap sabhi jaante hain ki pure desh-videsh mein Maharaj ji ke lakhon-karodon bhakt hain. Pichle kuch dino se internet, WhatsApp aur social media par ek khabar bohot tezi se phail rahi hai ki Vrindavan ke sant Pujya Shree Premanand Ji Maharaj ki tabiyat bohot kharab hai aur wo bimar hain.
Bhakton ke beige mein is khabar se bohot chinta ka mahaul bana hua hai. Agar aap bhi Baba ke bhakt hain aur unki health ka bilkul sacha aur sahi update jaanna chahte hain, toh is post ko poora padhiyega. Aaj main aapko wo baatein batane ja raha hoon jo internet par chal rahi afwahon ka parda-faash karengi aur aapko sukoon dengi!
🚨 Afwah Vs Sach: Kya Sach Mein Bimar Hain Premanand Ji Maharaj?
Bhaiyo, sabse pehle toh aap sabhi apne dil se darr nikaal lijiye. Pujya Premanand Ji Maharaj bimar nahi hain! Yeh poori tarah se ek afwah hai jo kuch log social media par sirf likes aur views paane ke liye phaila rahe hain.
Baba ki dono kidniyan pichle kahin saalon se kharab hain, yeh baat sabko pata hai aur iske bawajood wo Radha Rani ki kripa se roz raat ko paidal chalkar radhavallabh ji ke darshan karne jaate hain aur bhakton ko satsang dete hain. Unki tabiyat mein abhi aisa koi naya badlav ya dikkat nahi aayi hai jaisa social media par dikhaya ja raha hai.
🤫 Maun Dharan (Maun Vrat) Ka Asli Rahasya Kya Hai?
Kuch jagah par yeh afwah udi hai ki Baba bimar hain isiliye unhone bolna band kar diya hai. Lekin sachai yeh hai ki Baba ne kisi bimari ki wajah se nahi, balki is pavitra mahine ki wajah se maun liya hai. Iske piche ka asli rahasya ye hai:
Pavitra Adhik Maas Ka Niyam: Bhaiyo, jaise ki aap sabhi jaante hain ki is samay pavitra Jyeshtha Adhik Maas (Purushottam Maas) chal raha hai. Shastron ke anusar yeh mahina sirf aur sirf Bhagwat-bhajan, ekant aur maun ke liye hota hai. Pujya Baba ne is pure Adhik Maas ko akhand Radha Naam jaap mein lagane ke liye hi Maun dharan kiya hai.
Bhajan Aur Ekant Ke Liye Maun: Baba pehle bhi har Adhik Maas mein aur baki dino mein bhi kayi baar bina kisi ko bataye kuch dino ke liye ekant mein chale jaate hain aur maun dharan kar lete hain, taaki wo apna poora samay sirf aur sirf Radha Rani ke bhajan aur bhagwat chintan mein laga sakein.
Satsang Aur Darshan Ka Schedule: Baba jab bhi maun dharan karte hain, toh unka 'Ekantalaap' (Satsang) aur aam darshan kuch dino ke liye rok diya jata hai taaki unke sharir ko aaram mile aur wo bina kisi rukavat ke akhand bhajan kar sakein.
⛰️ Special Internal Tip: Vrindavan Aane Wale Bhakt Dhyan Den!
Bhaiyo, agar aap aaj Vrindavan aaye hain aur Baba ke darshan ke liye unke aashram (Shree Hit Radha Keli Kunj) jaane ka plan bana rahe hain, toh wahan ke naye niyam aur bheed ka samay zaroor jaan lein taaki aapko pareshani na ho.
🛑 Chote Bhai Ki Appeal: Social Media Ki Jhoothi Khabron Se Bachein
Bhaiyo, hum sabhi Maharaj ji se bohot pyaar karte hain. Isiliye hamara yeh farz banta hai ki hum aisi kisi bhi jhoothi khabar ko aage share na karein jisse logon ki bhavnaon ko thes pahonche. Baba ekdum swasth hain (apne niyam ke anusar) aur unka bhajan nirantar chal raha hai. Kisi bhi aisi afwah par vishwas na karein jab tak aashram ki taraf se koi official bayan na aaye.
Bhaiyo, yeh jankari maine (Atul Brajwasi) khud Vrindavan ke sthaniye logon aur aashram ke mahaul ko dekhkar aapke liye likhi hai taaki aap sabhi ka darr khatam ho sake. Ise apne WhatsApp groups aur Facebook par zaroor share karein taki aaj koi bhi bhakt pareshan na ho.
Comment mein batayein: Kya aapne aaj Premanand Maharaj Ji ke amrit vachan sune hain? Comment mein likhein—Radhe Radhe! 🌸
FAQ – Premanand Ji Maharaj Today Update
Q. क्या Premanand Ji Maharaj की तबीयत खराब है?
नहीं, ऐसी खबर अभी अफवाह है।
Q. क्या Maharaj Ji ने मौन धारण किया है?
हाँ, भजन और एकांत के लिए।
Q. क्या आज आश्रम में दर्शन हो रहे हैं?
भीड़ और नियम देखकर जाएं।
👉 ये भी पढ़ें: Govardhan Parikrama 2026 की पूरी जानकारी
👉 Agar Aap Vrindavan aane ki soch rahe hain to ek bar isko jarur padhen
Radhe Radhe 🙏
— Atul Vrindavan (Brajwasi)

टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
Radhe Radhe! Apne vichar aur sawal yahan likhein. Hum jald hi jawab denge.